Jab se tu mujh ko hai chorr kar gaya. .
Ye dil ka hansta hua sheher bayabaa’n ho gaya. .
Meri aarzoo mein teri aarzoo thi jaan. .
Tery baad mein bolta hua be-zuban ho gaya. .
Pehly darta tha mein maut se subha-o-shaam. .
Magar tery baad mujhy marna aasaan ho gaya. .
Tery baad to ye saara sheher veeran tha. .
Mein samjha tha k sirf mera nuqsaan ho gaya. .
Ye batao k aisi bhi kia ghalti ki thi ‘Gul’ ne. ..
K tu hum se youn achnak anjaan ho gaya. . !
Is se pehlay k. .
Is se pehlay k aankh khul jaye
Aa k honto’n se meri aankh’on per
Koi anmol khuwab likh jao
Mera chehra gulaab likh jao
Baad mein aa k apny hath’on se
Mera jeewan saraab likh jao. .
Kanto’n se dil lagao key taa-umar saath dain. .
Kanto’n se dil lagao key taa-umar saath dain. .
Phoolon ka kia jo sans ki garmi na seh sakain .
Wo kaha karta tha. . !
Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein. .
Suna karty they jin khush’ion ka haal
Aaj wohi jhonpri’an barbaad ho gaeen
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein
Mushkilain tou boht aain magar aasan ho gaeen
Teri umeed aur tery intezaar k aansu
Boht hasratain mileen magar fanaa ho gaeen
Jab bhi dekha kisi ujerty huay ko ‘Gul’
Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen. . !
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost!
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . !
Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .
Pagal bana deta hai ye ishq. . !
Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq
Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq
Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq
Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq
Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.
Udaas kharra mein. . !
Udaas kharra mein gohar-e-ashk pirota raha
Judai mein teri raat bhar rota raha. .
Phool’on pe bhi sonay se youn laga
Jaisy kaanto’n pe mein sota raha. .
Dil mein jaga to both thi lekin
Tery baad is mein koi na thehra, na janay kia hota raha . .!
Kon Aaya Hai?
Raat ko ye
Tootay sapnay
Meri band aankh’on
Ko zakhmi kar gaye
Aur
Saari raat
Khoon behta raha
Subha utha aur
Bister dekha
Tou pata chala
k
Raat Ko Kamray mein
KON AAYA HAI. . !
Haqeeqat agar afsana ban jaye tou. . !
Haqeeqat agar afsana ban jaye tou kia kejiye
Agar apna koi begana ban jaye to kia kejiye
Jis ko sadiyon pooja jaye
Agar wohi chorr jaye to kia kejiye
Band aankh’on se jis per aitebar kiya jaye
Agar wohi dhoka de to kia kejiye
hamesha se muhabbatain nichawar karny wala
Agar nafrat’ain de tou kia kejiye
Tum khud hi batao ‘Gul’ moaziz zamanay mein
Kon kis pe aitebar kia kejiye. .
Milna Hai Tou Khud Aa K Mil!
Milna hai tu khud aa k mil
Na bhej in band tehreer’on ko
Ye to such hai k tasalli ka imkaan hoti hain
lekin mujhy nahi pehenna in zanjeer’on ko
Kyun har baat ko muqaddar per taal rakhta hai
na laaya kar beech mein peeron ko
Marna tha to khud hi ek roz kah dety
Kia zarurat thi ye kehny ki aankhon k teer’on ko
Bus karo in zulm’on ki inteha kahin aisa na ho
Ik roz bedaar kar de ‘Gul’ k zameer’on ko. . !
Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai. .
Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai
Toot toot jata hai silsila takallum ka. . !
Aanay Wali Thi Khizaa’n. .
Aanay wali thi khizan, maidaan khali kar diya
Kal hawa-e-shab ne sara lawn khali kar diya
Hum tery khuwabo’n ki jannat se nikal kar aa gaye
Dekh, tera qasar-e-aali shaan khali kar diya
Dushmano’n ne shist baandhi Khaima-e-umeed per
Dosto’n ne darra-e-imkaan khali kar diya
Bantney nikla hai wo phool’on k tohfay sheher mein
Is khabar per hum ne bhi guldaan khali kar diya
Le gaya wo sath apny, Dil ki sari ronaq’ain
Kis qadar ye sheher tha gunjaan khaali kar diya
Saari chirri’an urr gaee’n mujh ko akela chorr kar
Mery ghar ka sehen aur daalaan khali kar diya
Diary mein saray achy sher chunn kar likh liye
Aik larki ne mera deewan khali kar diya. . !
Kis kashmakash mein hoon..
Dard Bhari Shayari
Yeh kashmakash alag hai ke kis kashmakash mein hoon,
Aata nahin samajh mein, bohat sochtaa hoon main..
Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna
Dard Bhari Shayari
Butt banay bethna , Pahlo main badaltay rahna,
Milna khosh khosh magar andar sa Pighaltay rahna..
Bhula dia mujhe zaalim nay aadatan bhi magar
Dard Bhari Shayari
Bhula dia mujhe zaalim nay aadatan bhi magar,
Wo baat kay jis say yaad aoon mujh main thi bhi nahi..
Bay mahriy’e hayaat ki shidat kay bawajood dil mutma’in
Dard Bhari Shayari
Bay mahriy’e hayaat ki shidat kay bawajood dil mutma’in
Tha jab kay meray saath tab tum bhi thay
Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Dard Bhari Shayari
Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Ilaahi tarq e ulfat par wo kion kar yaad atay hain !
Bhoolay sa muskura tou diay thay aaj faiz
Dard Bhari Shayari
Bhoolay sa muskura tou diay thay aaj faiz
Mat pooch walwalay dil e naa karda kaar kay !
Teri yaadon ke chirag ab bhi es dil main jaltey hain
Dard Bhari Shayari
Teri yaadon ke chirag ab bhi es dil main jaltey hain,
Sunoo kisi ko akela kar denay se koi tanha nahi hota..
Gar mohabbat ki hadh naheen koi..
Dard Bhari Shayari
Gar mohabbat ki hadh naheen koi,
Dard ka bhi hisaab kyon rakhoon..
Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai,
Dard Bhari Shayari
Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai,
Kesi key ishq main duniya lut’ta kar hum bhi dekhain gaye..
Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey,
Dard Bhari Shayari
Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey,
Ghafil ko gumaan hai key pathar naa aye ga..
Wo jo pehlo sey uthey dard kuch esa utha..
Dard Bhari Shayari
Wo jo pehlo sey uthey dard kuch esa utha,
Thaam kar dil ko kai bar main betha utha..
Khanjar sey karo bat na talwar sey pocho..
Dard Bhari Shayari
Khanjar sey karo bat na talwar sey pocho,
Main qatal howa kesey merey yar sey pocho.
Inhi khush gumaniyo me kahi jan se bhi na jao..
Dard Bhari Shayari
Inhi khush gumaniyo me kahi jan se bhi na jao,
Wo jo chara gar nahi hai usey zakham kiyo dikhao..
Mere daaman mein sharaaron ke siwaa kuch bhi nahi..
Dard Bhari Shayari
Mere daaman mein sharaaron ke siwaa kuch bhi nahi,
Aap phoolon ke kharedaar nazar aatey hain..
Mere chehre se mera dard na pehchan pao ge..
Dard Bhari Shayari
Mere chehre se mera dard na pehchan pao ge,
Meri aadat hai har baat pe muskuraa denaa..
Barbaad Basti Mein Kise Dhoond’tey Ho..
Dard Bhari Shayari
Barbaad Basti Mein Kise Dhoond’tey Ho Mohsin,
Ujrey Huye Logon Ke Thikaney Nahi Hotey…..
Nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar mein..
Dard Bhari Shayari
Haan haan nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar mein,
Haan haan wo shaks mujhse bhulaya nahi geya..
Le ke khat un ka kiya zabt bohat kuch lekin..
Dard Bhari Shayari
Le ke khat un ka kiya zabt bohat kuch lekin,
Thar’tharatey huye haathon ne bharam khol diya..
Dard ke aalam main bhi chup rehta hoon..
Dard Bhari Shayari
Shidat-e-dard ke aalam main bhi chup rehta hoon,
Muskuraaon to tera dard buraa maaaney ga..
Tu ne ik bar jo sardi ke sabab orrhi thi..
Dard Bhari Shayari
Tu ne ik bar jo sardi ke sabab orrhi thi,
Meri almaari mein ab tak woh shaal zinda hai..
Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai..
Dard Bhari Shayari
Zara dekho wo darwazey par dastak kesi hai,
Agar jo ho ishq to kehna yahan koi dil nahi rehta.
Door se andaaza mat karna mere halaat ka..
Dard Bhari Shayari
Door se andaaza mat karna mere halaat ka,
Behta sehraa hoon mere nazdeek akar dekh lo..
Haal anjaam-e-ishq kya kahiye..
Dard Bhari Shayari
Haal anjaam-e-ishq kya kahiye,
Ab to hum bhi lage hain pachtaaney..
Taqseem ho geya hon khairaat ki tarah..
Dard Bhari Shayari
Taqseem ho geya hon khairaat ki tarah,
Duniya kisi fakeer ki chadar lagi mujhe.
Aik woh jin ke liye tufaan kinarey ban gaye..
Dard Bhari Shayari
Aik woh jin ke liye tufaan kinarey ban gaye,
Aik hum jin ki kismat mein kahin saahil na tha..
Aap ko aata raha mujhe sataaney ka khayaal..
Dard Bhari Shayari
Aap ko aata raha mujhe sataaney ka khayaal,
Sulaah se achi rahi mujh ko larraayi aap ki..
Aye saans na aa ke dil mein zakham hai.
Dard Bhari Shayari
Aye saans na aa ke dil mein zakham hai,
Thaiss uthti hai jab hawaa lagti hai..
Likhna mere mizaar ke kutbey pe yeh haroof..
Dard Bhari Shayari
Likhna mere mizaar ke kutbey pe yeh haroof,
“Marhoom zindagi ki hasrat main mar geya”..
Usay itna bata dena kisi ki zindagi tum thay..
Dard Bhari Shayari
Usay itna bata dena kisi ki zindagi tum thay,
Usay yeh bhi bta dena bil-aakhir mar geya koi…
Mere shehar main meri nassal lootne walo..
Dard Bhari Shayari
Mere shehar main meri nassal lootne walo,
Pata hai beta kis tarha jawan hota hai..
Hadh se barrh jaye gi ik din khaawish e awargi..
Dard Bhari Shayari
Hadh se barrh jaye gi ik din khaawish e awargi,
sheher walon ke liye sehraa bhi ghar ho jaye ga..
Mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna..
Dard Bhari Shayari
Bohat mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna,
Magar woh keh geya hai apna khayal rakhna…
Aftaab ho jaise waisa hoon mein..
Dard Bhari Shayari
Aftaab* ho jaise waisa hoon mein,
Shaam abhi ayi na thi dooba hoon mein..
Yahan sunta nahi fariyad koi..
Dard Bhari Shayari
Yeh Sangdilon ki duniya hai yahan sunta nahi fariyad koi,
Yahan hastey hain log jab bhi hota hai barbaad koi..
Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga..
Dard Bhari Shayari
Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga,
Bhari zaalim duniya main koi to hamara hoga..
Haal e dil kehne geya tha, na kaha..
Dard Bhari Shayari
Haal e dil kehne geya tha, na kaha,
Mausamon par guftgu achi rahi….
Be’hissi ke haatmey ka marhalaa bhi aye ga..
Dard Bhari Shayari
Be’hissi ke haatmey ka marhalaa bhi aye ga,
Sabhi pathar ho gaye to zalzlaa bhi aye ga..
Waqt hi be’meher tha, halaat hi be’faiz they..
Dard Bhari Shayari
Waqt hi be’meher tha, halaat hi be’faiz they,
Kaun sa gham tha jo Mohsin ne apnaya na tha..
Na hum hotey, na dil hota..
Dard Bhari Shayari
Hum khud hi baayes-e-azaar hain apne liye warna,
Na hum hotey, na dil hota, na dil aazaariyan hotin..
Mujh se takratey hain pathar ke sanam..
Dard Bhari Shayari
Har qadam per mujh se takratey hain pathar ke sanam,
Kya bhari dunyaa main insaan aye khudaa koi nahin??
Magar mere din guzar rahe hain..
Dard Bhari Shayari
Gham-e-mohabbat sataa raha hai gham-e-zamana massal raha hai,
Magar mere din guzar rahe hain, magar mera waqt ttal raha hai..
Intizar ka aalam kya bataaon..
Dard Bhari Shayari
Intizar ka aalam kya bataaon Parvaaz,
Chaunk parrta hoon sans ki sadaaon par..
Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri..
Dard Bhari Shayari
Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri,
Tere kheyaal mein patey they junglon ke.
Raat ke pichley peher uthataa hai..
Dard Bhari Shayari
Raat ke pichley peher uthataa hai,
Dard-e-dil tahajjud guzaar ho jese..
Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai..
Dard Bhari Shayari
Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai,
Hamarey haal-e-pareshaan pe muskuraao nahin..
No comments:
Post a Comment