Aik pehchaani si awaaz aati hai mujheyy..
Tanhai Shayari
sunoo
mujh ko muhabbat ki tum aise saza mat do
mana k ghalti hoye mujhse
jo tum ko chah liya main ny
kahan bus main tha mairy kuch
yeh sari karni dil ki hai
main bebas thi,main bebas hon
to kiya bebas he rakho gay
sunoo
yonh chaar lafzoon main
yeh qisa khatam na karo tum
mari muhabbat ko
yonh kam umri ki nadani na kaho tum
chalo nadani he sahi
magar...........
mari nadani ki tum mujh ko aise saza mat do
mari halat ko to samjho
mujhe na chor kar jao
mujhe na chor kar jao
Yeh samaat* ka bharam hai ya kisi naghmey ki goonj,
Aik pehchaani si awaaz aati hai mujheyy..
Yad-e-mazi azab hai ya rabb..
Tanhai Shayari
Yad-e-mazi azab hai ya rabb,
Cheen ley mujhsey hafiza mera..
Wo be’kaifi ka aalam hai ke dil chahta hai..
Tanhai Shayari
Wo be’kaifi ka aalam hai ke dil ye chahta hai,
Kahin roposh ho jaun achanak khamoshi se..
Maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta..
Tanhai Shayari
Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta,
Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao..
Kisi muqaam par main kaam aa sakoon..
Tanhai Shayari
Shayed kisi muqaam par main kaam aa sakoon,
Mujh ko bhi sath lijiye tanhaa na jayiye..
Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain..
Tanhai Shayari
Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain,
Woh Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nahi Hotay..
Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi..
Tanhai Shayari
Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar ayi,
Duniyaa ki wohi ronaq, dil ki wohi tanhayi..
Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki..
Tanhai Shayari
Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki,
Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..
Khud’gharzz hota to hajoom hota sath..
Tanhai Shayari
Khud’gharzz hota to hajoom hota sath,
Mukhliss hoon to isi liye tanhaa hoon..
Sacch muchh koi awaz hai sach much koi aahat..
Tanhai Shayari
Sacch muchh koi awaz hai sach much koi aahat,
Ya dil ke dharakne ki sadaa chairr rahi hai..
Har aayina meri aankhon se poochta hai yeh..
Tanhai Shayari
Har aayina meri aankhon se poochta hai yeh,
Woh shakhs kya huey, abaad jin se yeh ghar tha??
Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye..
Tanhai Shayari
Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye,
Sheher ki galiyon mein ab ke aesa sanaatta hua..
Awaaz ka darya tha jo ik shakhss..
Tanhai Shayari
Gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhss,
Pathar bhi nahin ab woh sitaara tha jo ik shakhss..
Kya rabt kisi ki judaai se mera..
Tanhai Shayari
Kya rabt* kisi ki judaai se mera,
Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera..
Kya jaaniye ke itni udaasi thi raat..
Tanhai Shayari
Kya jaaniye ke itni udaasi thi raat kyon,
Mehtaab* apni qabar ka pathar laga mujhe..
Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas..
Tanhai Shayari
Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e-tanhai,
Akele ab to hum aksar bhari mehfil mein rehte hain..
Tamaam din ki thakkan ka ilaaj..
Tanhai Shayari
Qareeb aa shab-e-tanhaai, tujh se pyar karain,
Tamaam din ki thakkan ka ilaaj tu hi sahi..
Us ke dil main kitni mehfilen abad hon..
Tanhai Shayari
Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon,
Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte..
Ruswaayi ka dar hai ke andheron se mohabbat..
Tanhai Shayari
Ruswaayi ka dar hai ke andheron se mohabbat,
Main chaand ko aangan main utarney nahin deta..
Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya..
Tanhai Shayari
Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya,
Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah.
Chaandni, phool, hawaa, jaam, sitare..
Tanhai Shayari
Chaandni, phool, hawaa, jaam, sitare, khusbhuu,
Zeher ke naam hain, jiss shab nahin hota koi..
Sochta hoon ke bhujaa doon main yeh..
Tanhai Shayari
Sochta hoon ke bhujaa doon main yeh kamre ka diya,
Apne saaye ko bhi kyon saath jagaaon apne..
Saaya bhi tera tujh ko kahin chorr jaye ga..
Tanhai Shayari
Saaya bhi tera tujh ko kahin chorr jaye ga,
Aayi bhi tere kaam to tanhaayi aaye gi..
Meri Tanhayi Ko Mera Shoq Na Samjhna..
Tanhai Shayari
Meri Tanhayi Ko Mera Shoq Na Samjhna,
Bohat Pyar Se Diya Hy Yeh Tohfa Kisi Nai..
Dhalte saayo’n mein tere koochay se
Tanhai Shayari
Dhalte saayo’n mein tere koochay se,
Koi guzraa hai bar’haa tanhaa..
Dasht-e-tanhai mein kabhi socha hi na tha,
Tanhai Shayari
Dasht-e-tanhai mein Tabish kabhi socha hi na tha,
Apne hi paaon ki awaaz se dar jaaon ga ..
Apne mizaaj se mein khoob waqif hoon Mohsin
Tanhai Shayari
Apne mizaaj se mein khoob waqif hoon Mohsin,
Thore logon se milta hoon, magar mukhliss ho kar.
Dil to mera udaas hai Nasir..
Tanhai Shayari
Dil to mera udaas hai Nasir,
Yeh sheher kyon sayen sayen karta hai..
Qasam Se Koi Nahi, Koi Nahi, Koi Nahi..
Tanhai Shayari
Ay Dil! Qasam Se Koi Nahi, Koi Nahi, Koi Nahi,
Yaqeen Jaano Darwaza Faqat Hawa Se Khula Hy..!
Tanhayiyan uthaa na saki’n roshni ka bojh
Tanhai Shayari
Tanhayiyan uthaa na saki’n roshni ka bojh,
Saaye bhi dafan ho gaye khali makaan mein..
No comments:
Post a Comment