24 Apr 2013

Best Dua Shayari


Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,


Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,

Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..



Chahat ke badle main hum to bech dain apni 


Chahat ke badle main hum to bech dain apni marzi tak,
Koi miley to dil ka gaahak, koi humain apnaaye to..

Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko,

Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko,
Yaa Rab woh mera dil na dukhaaye tamaqm umar..

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..

Parhta tha main nimaaz samajh kar usey 

Parhta tha main nimaaz samajh kar usey Rasheed,
Phir yu’n hua ke mujh se qazaa ho gaya woh shakhss..

Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen 

Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…

Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai

Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.


Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai

Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai

Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai

Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai.

Osy lagaya hy may ny khiyal rakna tum !

Osy lagaya hy may ny khiyal rakna tum !
ke ye shjar meri naslon ko acha phal dy ga
Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana 
Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.
Kon daita hai muhabbat ko pursatish ka 
Kon daita hai muhabbat ko pursatish ka muqam,
Tum ye insaf se pocho to dua do hum ko.
Kis qadar nadaam hoa hon me bura keh kar 
Kis qadar nadaam hoa hon me bura keh kar use,
Kia khabar thi jate jate wo dua de jae ga.
Ghalat ho app ka wada koi khuda na kare,
Ghalat ho app ka wada koi khuda na kare,
Magar hazoor ko adat hai bhool jane ki.
Umer itni to ata kar mere fan k khaliq, 
Umer itni to ata kar mere fan k khaliq,
Mera dushman mere marne ki khabar ko tarse.
Khoda kare k achanak wo samne aa kar,
Khoda kare k achanak wo samne aa kar,
Mere labhon ko nae kuch sawal dee jae.
Khodae e sheher muje zalzalon me zinda rakh,
Khodae e sheher muje zalzalon me zinda rakh,
Me bach gea to nai bastian basaon ga.

Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti,

Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti,
Makeen talash karoon ya makaan talash karoon..

Ya malik aapne aadalat me 

Ya malik aapne aadalat me , meri hamesha jamant rakhna,
Mai rahu ya na rhu mere chahane walo ko hamesh salamat rakhna

Ab Main Tumhe Bhulane Ke
Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke

Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki

Jub Itni Khushyaan

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….
Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!

Dast-E-Taqdeer

Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya Jaan
Mere Hissay Main Terey Sath Ki Hasrat Aayi ….!

Khushi mili to kai dard muj

Khushi mili to kai dard muj se rooth gae
Duaa karo k me phir se udaas ho jaon…!!

kash ye dunia haseen hoti

kash ye dunia haseen hoti
khud k chahne sy her dua kabool hoti
khny k liye tu sbi apny hn
pr kash koi aisa hota
jisay mere dard sy b takleef hoti

Manga hai tujhe rab se ke

Manga hai tujhe rab se ke ab zid hai muje yeh kab se,
sab se agey, awal-o-akhir hai meri zaroorton mein sab se…

sar rakh k mere 

main apni har ik sans usi raat ko de doon
sar rakh k mere seene per so jao kisi din

” Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir ”

” Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir ”
” Jo meray honton se lafz nikaly ”
” Jo mari Aankhon se ashk niklay ”
…” Unhi k badley Mein ae KHUDAYA ”

Jab bhi us ka naseeb likhna
” UROOJ likhna ”
” KAMAL likhna ”
” Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna ”
” Khusian likhna ”
” or us ki umr-e-draaz likhna…………

Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain

Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain
teri yadon k sahary jia kerty kain
tujh se koi shikayat na gila kerty hain
tu salamat rahy bas yehi dua kerty hain
Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin
Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin
mary hathon main jabar ki talwar nahin
Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai
Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin
ae khuda mujh ko meri Ibadat k badly Mohabat de de
Main teri kisi b jannat ka kharidar nahin
jis ne insan se mohabat hi na ki ho
wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin
Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai
Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde

Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde

DUA..

DUA..
Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malik Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..

Aameen

No comments: