26 Apr 2013

Best Judai sms

Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se?

Judaii Shayari


Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se
Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . !


Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha

Judaii Shayari

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha
Tae kiya to sadiyon ki musafat thi

Ujray to hum they is ishq mein
Chehray pe us k saray zamanay ki thakan thi

Muddat baad usey pareshan dekha hai
Aansuon mein doobi na janay kin soch’on mein magan thi

Tum to mujhy faramosh kar gaye they lekin
Tujhy faramosh karny mein ik sadi lagi thi

Aaj gali mein kah raha tha koi k
Wo chorr gai hai jisy ‘Gul’ ko inteha ki lagan thi. 

Pehli Muhabbat Yaad Aati Hai. . !

Judaii Shayari

Door ufaq ki tareeki mein
Bijli jab bhi lehraati hai
Shama jalatay lamhay aksar
Kamray k ghup andheray mein
Pehli muhabbat yaad aati hai
Autograph talab karny jab
Koi haseena ghar aati hai
Barri barri aankho’n se jab wo
Dekh k mujh ko sharmati hai
Maazi mein kho jata hoon
Chota sa ho jata hoon
Pehli muhabbat yaad aati hai
Shaam-e-khizaa’n jab tanha tanha
Baagh mein sair ko jata hoon
Kisi udas larki ko jab
Bench pe tanha paata hoon
Janay kyun yaad aa jata hai
Aik khizaa’n ki sham ka manzer
Jab hum dono juda huay they. . !

Gar lams nahi to lafz bhe bhej!

Judaii Shayari

Gar lams nahi to lafz bhe bhej!
Mein tujh se juda rahoo’n kab tak?

Mein Phool Chunti Rahi Aur Mujhy

Judaii Shayari

Mein phool chunti rahi aur mujhy khabar na hui. .
Wo shakhs aa k mery sheher se chala bhi gaya. .

Meray Hissay Ki Be-Taabi. .

Judaii Shayari

Meray hissay ki be-taabi mujhay mil hi jaye gi. .
Wo nahi’n aata, na aaye mera kia le jaye ga. . !

Tark-e-Muhabbat Ko Ik Umer hui. .

Judaii Shayari

‘Nadeem’ tark-e-muhabbat ko aik umer hui
Mein ab bhi soch raha hun k bhool jaun usey. . !

Na Gul Khilay Hain, Na Un Se

Judaii Shayari

Na gul khilay hain, na un se milay, na mae pi
Ajab rung mein ab k bahaar guzri hai. . !

Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye

Judaii Shayari

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !

Judaii Shayari

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain

Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain

Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !

Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . !

Judaii Shayari

Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai

Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai

Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai

Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai

Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai

Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . !

Hum Hi Mein Na Thi Koi Baat. .

Judaii Shayari

Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay
Tum ne humain bhula diya, hum na tumhain bhula sakay. . 

Hai Inteha-e-Yaas Bhi Ik Ibtada-e-Shauq. .

Judaii Shayari

Hai inteha-e-yaas bhi ik ibtada-e-shauq. .
Phir aa gaye wahin pe, chalay thy jahan se hum. . !

Tujhy Bhula K Jiyu’n. .

Judaii Shayari

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de

Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de

Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de

Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de

Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !

Hum Tujhy Bhool K Khush Baithay Hain!

Judaii Shayari

Hum tujhy bhool k khush baithay hain
Hum sa be-dard koi kia ho ga. . . 

No comments: