19 Nov 2013

Best Urdu Allama Iqbal Poetry


Sar Shak-E-Chashm-E-Muslim Mein Hai Neesan Ka Asar Paida

Khalil-Allah (A.S.) Ke Darya Mein Hon Ge Phir Guhar Paida

-------------------------------


Zameer-E-Lala Mein Roshan Charagh-E-Arzoo Kar De

Chaman Ke Zarre Zarre Ko Shaheed-E-Justujoo Kar De

-------------------------------

Woh Chashm-E-Paak Been Kyun Zeenat-E-Bargistawan Dekhe

Nazar Ati Hai Jis Ko Mard-E-Ghazi Ki Jigar Tabi

-------------------------------

Tarap Sehan-E-Chaman Mein, Aashiyan Mein, Shakhsaron Mein

Juda Pare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemabi

-------------------------------


Asar Kuch Khawab Ka Ghunchon Mein Baqi Hai To Ae Bulbul!

” Nawa Ra Talakh Tar Mee Zan Choo Zauq-E-Nagma Kmyabi “


-------------------------------

Daleel-E-Subah-E-Roshan Hai Sitaron Ki Tunak Tabi

Ufaq Se Aftab Ubhra, Gya Dour-E-Garan Khawabi


-------------------------------

Hai Nafs Kay Haathon Tu Majboor Kitna

Sub jaan k b hai aaj la shaoor kitna

Jis chehry ne hai 1 din matti men mil jaana

Us chehry pe hai tujhe ghuroor kitna

1 sajde k inkaar ne Iblees ko shetaan bana dia

Tu khud jaan ly tera hai qusoor kitna

Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawaara nahi

Tery waasty roye thy woh huzoor kitna

Tu ne chakhi hai faqat gunahon ki lazzat

Tu kya jaane A Muslim Zikr-E-Elaahi men hai suroor kitna


-------------------------------

Wo So Raha Hay to Usay Sonay Do

” Iqbal “

Ho Sakta Hay Ghulami Ki Neend Mein Wo Khuwaab Azaadi Kay Daikh Raha Ho

-------------------------------

Jannat ki sair kr raha tha k raat ho gai

!== Iqbal ==!

Subha ko jb aankh khuli to sar MAA ki aghosh main tha….!


-------------------------------

No comments: